main jo sahra mein kisi peD ka saya hota
maiñ jo sahrā meñ kisī peḌ kā saayā hotā
dil-zada koī ghaḌī bhar ko to Thahrā hotā
ab to vo shāḳh bhī shāyad hī gulistāñ meñ mile
kaash is phuul ko us vaqt hī toḌā hotā
vaqt fursat nahīñ degā hameñ muḌne kī kabhī
aage baḌhte hue ham ne jo ye sochā hotā
hañste hañste jo hameñ chhoḌ gayā hai hairāñ
ab rulāne ke liye yaad na aayā hotā
vaqt-e-ruḳhsat bhī nirālī hī rahī dhaj terī
jaate jaate zarā muḌ ke bhī to dekhā hotā
kis se pūchheñ ki vahāñ kaisī guzar hotī hai
dost apnā kabhī ahvāl hī likkhā hotā
aisā lagtā hai ki bas ḳhvāb se jaagā huuñ abhī
sochtā huuñ ki jo ye ḳhvāb na TuuTā hotā
zindagī phir bhī thī dushvār bahut hī dushvār
har qadam saath agar ek masīhā hotā
ek mahfil hai ki din raat bapā rahtī hai
chand lamhoñ ke liye kaash maiñ tanhā hotā
main jo sahra mein kisi peD ka saya hota
dil-zada koi ghaDi bhar ko to Thahra hota
ab to wo shaKH bhi shayad hi gulistan mein mile
kash is phul ko us waqt hi toDa hota
waqt fursat nahin dega hamein muDne ki kabhi
aage baDhte hue hum ne jo ye socha hota
hanste hanste jo hamein chhoD gaya hai hairan
ab rulane ke liye yaad na aaya hota
waqt-e-ruKHsat bhi nirali hi rahi dhaj teri
jate jate zara muD ke bhi to dekha hota
kis se puchhen ki wahan kaisi guzar hoti hai
dost apna kabhi ahwal hi likkha hota
aisa lagta hai ki bas KHwab se jaga hun abhi
sochta hun ki jo ye KHwab na TuTa hota
zindagi phir bhi thi dushwar bahut hi dushwar
har qadam sath agar ek masiha hota
ek mahfil hai ki din raat bapa rahti hai
chand lamhon ke liye kash main tanha hota
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 332)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.