main kab se kitna hun tanha tujhe pata bhi nahin
maiñ kab se kitnā huuñ tanhā tujhe patā bhī nahīñ
tirā to koī ḳhudā hai mirā ḳhudā bhī nahīñ
kabhī ye lagtā hai ab ḳhatm ho gayā sab kuchh
kabhī ye lagtā hai ab tak to kuchh huā bhī nahīñ
kabhī to baat kī us ne kabhī rahā ḳhāmosh
kabhī to hañs ke milā aur kabhī milā bhī nahīñ
kabhī jo talḳh-kalāmī thī vo bhī ḳhatm huī
kabhī gila thā hameñ un se ab gila bhī nahīñ
vo chīḳh ubhrī baḌī der gūñjī Duub ga.ī
har ek suntā thā lekin koī hilā bhī nahīñ
main kab se kitna hun tanha tujhe pata bhi nahin
tera to koi KHuda hai mera KHuda bhi nahin
kabhi ye lagta hai ab KHatm ho gaya sab kuchh
kabhi ye lagta hai ab tak to kuchh hua bhi nahin
kabhi to baat ki us ne kabhi raha KHamosh
kabhi to hans ke mila aur kabhi mila bhi nahin
kabhi jo talKH-kalami thi wo bhi KHatm hui
kabhi gila tha hamein un se ab gila bhi nahin
wo chiKH ubhri baDi der gunji Dub gai
har ek sunta tha lekin koi hila bhi nahin
- Book : LAVA (Pg. 93)
- Author : JAVED AKHTAR
- Publication : RAJ KAMAL PARKASHAN (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.