main kabhi rakhna agar chahun mere yar radif
maiñ kabhī rakhnā agar chāhūñ mire yaar radīf
hone lagtī hai mujhe dekh ke bezār radīf
ik ġhazal apne liye kahne kī Thānī ik din
zehn meñ phirtī rahī ek hī bekār radīf
tujh se haT kar maiñ kabhī sher kā sochūñ bhī to
qāfiya khīñchtā hai saañs to talvār radīf
maiñ tumheñ roz nayā sher sunā saktā huuñ
mujh meñ har roz koī hotī hai bedār radīf
ishq kī tarah ġhazal ne bhī taraqqī nahīñ kī
vasl bhī ḳhvāb rahā aur rahī bīmār radīf
main kabhi rakhna agar chahun mere yar radif
hone lagti hai mujhe dekh ke bezar radif
ek ghazal apne liye kahne ki Thani ek din
zehn mein phirti rahi ek hi bekar radif
tujh se haT kar main kabhi sher ka sochun bhi to
qafiya khinchta hai sans to talwar radif
main tumhein roz naya sher suna sakta hun
mujh mein har roz koi hoti hai bedar radif
ishq ki tarah ghazal ne bhi taraqqi nahin ki
wasl bhi KHwab raha aur rahi bimar radif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.