main kahan aur arz-e-haal kahan
maiñ kahāñ aur arz-e-hāl kahāñ
vo kahāñ aur mirā ḳhayāl kahāñ
maiñ sitāra na tum gulāb hue
mil rahe haiñ magar visāl kahāñ
aag sochūñ to ḳhaak likhtā huuñ
muttafiq lafz aur ḳhayāl kahāñ
hai vafā kā sila vafā sach hai
lekin aisī koī misāl kahāñ
mujh ko pāmāl-e-umr karte hue
jā rahe haiñ ye māh-o-sāl kahāñ
pūchhtā huuñ javāz-e-kaun-o-makāñ
le ga.ī jur.at-e-savāl kahāñ
'asadullāh'-ḳhāñ kī den hai ye
'shauq' tum aise ḳhush-ḳhayāl kahāñ
main kahan aur arz-e-haal kahan
wo kahan aur mera KHayal kahan
main sitara na tum gulab hue
mil rahe hain magar visal kahan
aag sochun to KHak likhta hun
muttafiq lafz aur KHayal kahan
hai wafa ka sila wafa sach hai
lekin aisi koi misal kahan
mujh ko pamal-e-umr karte hue
ja rahe hain ye mah-o-sal kahan
puchhta hun jawaz-e-kaun-o-makan
le gai jurat-e-sawal kahan
'asadullah'-KHan ki den hai ye
'shauq' tum aise KHush-KHayal kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.