main kahan karwan-e-shauq kahan
maiñ kahāñ kārvān-e-shauq kahāñ
ab vo tab sā jahān-e-shauq kahāñ
kuchh to dil bhī hai zauq se ḳhālī
aur kuchh vo zabān-e-shauq kahāñ
kab rahī hai matā-e-dil bhī saath
aur saudāgarān-e-shauq kahāñ
ishq bhī bebasī sā lagtā hai
dil bhī ab ham-zabān-e-shauq kahāñ
be-hisī par hai zindagī 'āzād'
yaar vo nukta-dān-e-shauq kahāñ
main kahan karwan-e-shauq kahan
ab wo tab sa jahan-e-shauq kahan
kuchh to dil bhi hai zauq se KHali
aur kuchh wo zaban-e-shauq kahan
kab rahi hai mata-e-dil bhi sath
aur saudagaran-e-shauq kahan
ishq bhi bebasi sa lagta hai
dil bhi ab ham-zaban-e-shauq kahan
be-hisi par hai zindagi 'azad'
yar wo nukta-dan-e-shauq kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.