main kaise man lun ki ishq bas ek bar hota hai
maiñ kaise maan luuñ ki ishq bas ik baar hotā hai
tujhe jitnī dafa dekhūñ mujhe har baar hotā hai
faqat kaTne ko yuuñ bhī kaT rahī hai zindagī lekin
vahī hai zindagī jis pal tirā dīdār hotā hai
tujhe paane kī hasrat aur Dar nā-kāmiyābī kā
inhīñ do tiin bātoñ se ye dil do chaar hotā hai
agar hai ishq sachchā to nigāhoñ se bayāñ hogā
zabāñ se bolnā bhī kyā koī iz.hār hotā hai
kināre baiTh kar ke koī bhī manzil nahīñ paatā
jo Takrātā hai lahroñ se vo dariyā paar hotā hai
main kaise man lun ki ishq bas ek bar hota hai
tujhe jitni dafa dekhun mujhe har bar hota hai
faqat kaTne ko yun bhi kaT rahi hai zindagi lekin
wahi hai zindagi jis pal tera didar hota hai
tujhe pane ki hasrat aur Dar na-kaamiyabi ka
inhin do tin baaton se ye dil do chaar hota hai
agar hai ishq sachcha to nigahon se bayan hoga
zaban se bolna bhi kya koi izhaar hota hai
kinare baiTh kar ke koi bhi manzil nahin pata
jo Takraata hai lahron se wo dariya par hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.