main kar na paya zabt zi-bas chiKHta raha
maiñ kar na paayā zabt zi-bas chīḳhtā rahā
jab aa.ī mujh ko yaad qafas chīḳhtā rahā
āzādiyoñ kā charchā sar-e-āsmān thā
aur ek panchhī zer-e-qafas chīḳhtā rahā
qatra bhī tere hoñToñ se mujh ko nahīñ milā
maiñ pyaas pyaas pyaas hī bas chīḳhtā rahā
hai umr merī biis baras aur us meñ se
lag-bhag maiñ bārah terah baras chīḳhtā rahā
dahshat meñ paḌ gayā malak-ul-maut dekh kar
phir us ne kaaTī tār-e-nafas chīḳhtā rahā
faisal jo paak saaf the āzād ho ga.e
maiñ thā asīr-e-hirs-o-havas chīḳhtā rahā
main kar na paya zabt zi-bas chiKHta raha
jab aai mujh ko yaad qafas chiKHta raha
aazadiyon ka charcha sar-e-asman tha
aur ek panchhi zer-e-qafas chiKHta raha
qatra bhi tere honTon se mujh ko nahin mila
main pyas pyas pyas hi bas chiKHta raha
hai umr meri bis baras aur us mein se
lag-bhag main barah terah baras chiKHta raha
dahshat mein paD gaya malak-ul-maut dekh kar
phir us ne kaTi tar-e-nafas chiKHta raha
faisal jo pak saf the aazad ho gae
main tha asir-e-hirs-o-hawas chiKHta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.