main kaun hun main kya hun yahi soch raha hun
maiñ kaun huuñ maiñ kyā huuñ yahī soch rahā huuñ
sūrat meñ muqayyad huuñ magar bikhrā huā huuñ
tā-hadd-e-nazar mere sivā koī nahīñ hai
maiñ jaise kisī dard ke sahrā meñ khaḌā huuñ
ye baat mirī soch se bāhar hai abhī tak
maiñ koh thā phir kaise samundar meñ bahā huuñ
ye sach hai kisī kā huuñ maiñ matlūb na tālib
hairān huuñ kis vāste duniyā meñ jiyā huuñ
be-bas huuñ maiñ ai mujh se ziyā māñgne vaalo
maiñ diip thā jalne se magar pahle hī bujhā huuñ
'premī' mujhe is baat kā ḳhud ilm nahīñ hai
vo kaun hai maiñ jis ke ḳhayāloñ meñ ghirā huuñ
main kaun hun main kya hun yahi soch raha hun
surat mein muqayyad hun magar bikhra hua hun
ta-hadd-e-nazar mere siwa koi nahin hai
main jaise kisi dard ke sahra mein khaDa hun
ye baat meri soch se bahar hai abhi tak
main koh tha phir kaise samundar mein baha hun
ye sach hai kisi ka hun main matlub na talib
hairan hun kis waste duniya mein jiya hun
be-bas hun main ai mujh se ziya mangne walo
main dip tha jalne se magar pahle hi bujha hun
'premi' mujhe is baat ka KHud ilm nahin hai
wo kaun hai main jis ke KHayalon mein ghira hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.