main KHak hun aab hun hawa hun
maiñ ḳhaak huuñ aab huuñ havā huuñ
aur aag kī tarah jal rahā huuñ
tah-ḳhāna-e-zehn meñ na jaane
kyā shai hai jise TaToltā huuñ
bahrūp nahīñ bharā hai maiñ ne
jaisā bhī huuñ sāmne khaḌā huuñ
suntā to sabhī kī huuñ magar maiñ
kartā huuñ vahī jo chāhtā huuñ
achchhoñ ko to sab hī chāhte haiñ
hai koī ki maiñ bahut burā huuñ
paatā huuñ use bhī apnī jānib
muḌ kar jo kisī ko dekhtā huuñ
bachnā hai muhāl is maraz meñ
jiine ke maraz meñ mubtalā huuñ
suntā hī na ho koī to kyuuñ maiñ
chillā.ūñ fuġhāñ karūñ karāhūñ
auroñ se to ijtināb thā hī
ab apne vajūd se ḳhafā huuñ
baaqī haiñ jo chand roz vo bhī
taqdīr ke naam likh rahā huuñ
likhtā huuñ har ek baat sun kar
ye baat to maiñ bhī kah chukā huuñ
main KHak hun aab hun hawa hun
aur aag ki tarah jal raha hun
tah-KHana-e-zehn mein na jaane
kya shai hai jise TaTolta hun
bahrup nahin bhara hai main ne
jaisa bhi hun samne khaDa hun
sunta to sabhi ki hun magar main
karta hun wahi jo chahta hun
achchhon ko to sab hi chahte hain
hai koi ki main bahut bura hun
pata hun use bhi apni jaanib
muD kar jo kisi ko dekhta hun
bachna hai muhaal is maraz mein
jine ke maraz mein mubtala hun
sunta hi na ho koi to kyun main
chillaun fughan karun karahun
auron se to ijtinab tha hi
ab apne wajud se KHafa hun
baqi hain jo chand roz wo bhi
taqdir ke nam likh raha hun
likhta hun har ek baat sun kar
ye baat to main bhi kah chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.