Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main Khaal-o-KHad ka sarapa tasawwuraat mein tha

Hayat Lakhnavi

main Khaal-o-KHad ka sarapa tasawwuraat mein tha

Hayat Lakhnavi

MORE BYHayat Lakhnavi

    maiñ ḳhāl-o-ḳhad sarāpā tasavvurāt meñ thā

    damaktī zaat sūraj añdherī raat meñ thā

    vo vaqt ab bhī nigāhoñ meñ jagmagātā hai

    ye kā.enāt thī mujh meñ maiñ kā.enāt meñ thā

    maiñ shahr shahr hairāniyoñ se guzrā huuñ

    mirā vajūd bhī shāyad ajā.ibāt meñ thā

    anā ke dasht meñ sadiyoñ dhuul oḌhe hue

    na jaane kab se vo uljhā ta.assubāt meñ thā

    tamām shor-sharāba nafas nafas meñ liye

    vo Dūbtā huā ehsās shab-barāt meñ thā

    ye sub.h-o-shām mulāqāt hai ajīran

    kabhī-kabhār milnā tabarrukāt meñ thā

    'hayāt' DhūñD rahā huuñ vo lucknow ki jahāñ

    sharāfatoñ asāsa takallufāt meñ thā

    main KHal-o-KHad ka sarapa tasawwuraat mein tha

    damakti zat ka suraj andheri raat mein tha

    wo waqt ab bhi nigahon mein jagmagata hai

    ye kaenat thi mujh mein main kaenat mein tha

    main shahr shahr ki hairaniyon se guzra hun

    mera wajud bhi shayad ajaibaat mein tha

    ana ke dasht mein sadiyon ki dhul oDhe hue

    na jaane kab se wo uljha tassubaat mein tha

    tamam shor-sharaba nafas nafas mein liye

    wo Dubta hua ehsas shab-baraat mein tha

    ye subh-o-sham mulaqat hai ajiran si

    kabhi-kabhaar ka milna tabarrukat mein tha

    'hayat' DhunD raha hun wo lucknow ki jahan

    sharafaton ka asasa takallufat mein tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now