Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main khujuron-bhare sahraon mein dekha gaya hun

Nadeem Bhabha

main khujuron-bhare sahraon mein dekha gaya hun

Nadeem Bhabha

MORE BYNadeem Bhabha

    maiñ khujūroñ-bhare sahrāoñ meñ dekhā gayā huuñ

    taḳht ke ba.ad tire paañv meñ dekhā gayā huuñ

    dafn hotī huī jhīloñ meñ Thikāne haiñ mire

    ḳhushk hote hue dariyāoñ meñ dekhā gayā huuñ

    masjidoñ aur mazāroñ meñ mire charche haiñ

    mandiroñ aur kalīsāoñ meñ dekhā gayā huuñ

    lamha bhar ko mire sar par koī bādal aayā

    kahne vāloñ ne kahā chhāñv meñ dekhā gayā huuñ

    phir mujhe ḳhud bhī ḳhabar ho na sakī maiñ huuñ kahāñ

    āḳhirī baar tire gaañv meñ dekhā gayā huuñ

    vasl ke tiin sau terah meñ kahīñ huuñ maujūd

    hijr ke mārka-ārāoñ meñ dekhā gayā huuñ

    main khujuron-bhare sahraon mein dekha gaya hun

    taKHt ke baad tere panw mein dekha gaya hun

    dafn hoti hui jhilon mein Thikane hain mere

    KHushk hote hue dariyaon mein dekha gaya hun

    masjidon aur mazaron mein mere charche hain

    mandiron aur kalisaon mein dekha gaya hun

    lamha bhar ko mere sar par koi baadal aaya

    kahne walon ne kaha chhanw mein dekha gaya hun

    phir mujhe KHud bhi KHabar ho na saki main hun kahan

    aaKHiri bar tere ganw mein dekha gaya hun

    wasl ke tin sau terah mein kahin hun maujud

    hijr ke marka-araon mein dekha gaya hun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Javed Naseem

    Javed Naseem

    Nadeem Bhabha

    Nadeem Bhabha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now