main KHush-nasib hun mujhko kisi ka pyar mila
maiñ ḳhush-nasīb huuñ mujh ko kisī kā pyaar milā
baḌā hasīn mire dil kā rāzdār milā
hai dil meñ pyaar zabāñ chup jhukī jhukī nazreñ
ajab adā se koī aaj pahlī baar milā
kisī ko pā ke mire dil kā haal mat pūchho
ke jaise saare zamāne se iḳhtiyār milā
kisī ne puure kiye aaj pyaar ke vaade
merī vafā kā sila mujh ko shāndār milā
mere chaman kā har ik phuul muskurāne lagā
vo kyā milā ki mujhe mausam-e-bahār milā
main KHush-nasib hun mujh ko kisi ka pyar mila
baDa hasin mere dil ka raazdar mila
hai dil mein pyar zaban chup jhuki jhuki nazren
ajab ada se koi aaj pahli bar mila
kisi ko pa ke mere dil ka haal mat puchho
ke jaise sare zamane se iKHtiyar mila
kisi ne pure kiye aaj pyar ke wade
meri wafa ka sila mujh ko shandar mila
mere chaman ka har ek phul muskurane laga
wo kya mila ki mujhe mausam-e-bahaar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.