Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ki ab teri hi diwar ka ek saya hun

Farigh Bukhari

main ki ab teri hi diwar ka ek saya hun

Farigh Bukhari

maiñ ki ab terī dīvār ik saayā huuñ

kitne be-ḳhvāb darīchoñ se guzar aayā huuñ

mujh ko ehsās hai hālāt majbūrī

bevafā kah ke tujhe aap bhī sharmāyā huuñ

mujh ko mat dekh mire zauq-e-samā.at ko to dekh

ki tire jism har taan pe lahrāyā huuñ

ai mo.arriḳh mirī ujḌī huī sūrat pe na

shahr-e-vīrāñ huuñ magar vaqt sarmāya huuñ

raushnī phail ga.ī hai mirī ḳhushbū tarah

maiñ bhī jalte hue sahrāoñ ham-sāyā huuñ

ham-safar laakh mirī raah patthar bhī bane

phir bhī zehnoñ ke dar-o-bām pe lahrāyā huuñ

na.ī manzil junūñ tohmat-e-gumrāhī hai

pā-shikasta bhī tirī raah meñ kahlāyā huuñ

phir numū paa.ī hai ik dard-e-ḳhush-āġhāz ke saath

dahr meñ jur.at-e-iz.hār pairāya huuñ

umr bhar but-shikanī kartā rahā aaj magar

apnī zaat ke kohsār se Takrāyā huuñ

dahr meñ azmat-e-ādam nishāñ huuñ 'fāriġh'

kabhī kohsār kabhī daar pe lahrāyā huuñ

main ki ab teri hi diwar ka ek saya hun

kitne be-KHwab darichon se guzar aaya hun

mujh ko ehsas hai haalat ki majburi ka

bewafa kah ke tujhe aap bhi sharmaya hun

mujh ko mat dekh mere zauq-e-samaat ko to dekh

ki tere jism ki har tan pe lahraya hun

ai moarriKH meri ujDi hui surat pe na ja

shahr-e-viran hun magar waqt ka sarmaya hun

raushni phail gai hai meri KHushbu ki tarah

main bhi jalte hue sahraon ka ham-saya hun

ham-safar lakh meri rah ka patthar bhi bane

phir bhi zehnon ke dar-o-baam pe lahraya hun

nai manzil ka junun tohmat-e-gumrahi hai

pa-shikasta bhi teri rah mein kahlaya hun

phir numu pai hai ek dard-e-KHush-aghaz ke sath

dahr mein jurat-e-izhaar ka pairaya hun

umr bhar but-shikani karta raha aaj magar

apni hi zat ke kohsar se Takraya hun

dahr mein azmat-e-adam ka nishan hun 'farigh'

kabhi kohsar kabhi dar pe lahraya hun

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now