main ki KHuddar tha Thahra na kisi chhanw tale
maiñ ki ḳhuddār thā Thahrā na kisī chhāñv tale
go ki raste meñ mile the ka.ī ashjār ghane
zehn vo shahr jahāñ nit nayā haijān rahe
dil vo bastī ki jahāñ ḳhvāb ugeñ dard pale
zindagānī ye tirī tez-ravī Thiik nahīñ
koī chehra to zarā der nigāhoñ meñ rahe
kab shab-o-roz ke hañgām ne mohlat baḳhshī
maiñ ne daurān-e-safar hī na.e ash.ār kahe
main ki KHuddar tha Thahra na kisi chhanw tale
go ki raste mein mile the kai ashjar ghane
zehn wo shahr jahan nit naya haijaan rahe
dil wo basti ki jahan KHwab ugen dard pale
zindagani ye teri tez-rawi Thik nahin
koi chehra to zara der nigahon mein rahe
kab shab-o-roz ke hangam ne mohlat baKHshi
main ne dauran-e-safar hi nae ashaar kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.