main kis liye hun main kya hun kyon aa gaya hun yahan
maiñ kis liye huuñ maiñ kyā huuñ kyoñ aa gayā huuñ yahāñ
ba-rū-e-ā.īna kab se khaḌā huuñ maiñ hairāñ
baḌī arīz-o-vasī.a hai bahut kushāda hai
hai tang-dastoñ pe phir tang kyoñ fazā-e-jahāñ
jhalak dikhā ke achānak sidhār jaatā hai
misāl-e-ḳhvāb hasīñ hai haqīqat-e-insāñ
maiñ sar nigūñ hī rahā ġhāyat-e-nadāmat se
palaT ga.ī mire paas aa ke rahmat-e-yazdāñ
chhupā.e baiThā huuñ maiñ jis ko dil ke pardoñ meñ
vo naqsh-e-ḳhvāb abhī tak hai māvarā-e-bayāñ
har ek dam meñ mire un kā dam bhī shāmil hai
ġham-e-jahāñ se ho kaise judā ġham-e-jānāñ
usī nazar usī shai ke haiñ muntazir ham to
kamān-e-yār se nikle jo par-fishāñ pechāñ
usī tabassum-e-shādāb kī tamannā hai
hilāl-e-lab se jo phūTe ḳhirāmāñ-o-raqsāñ
ajiib rang the bazm-e-nashāt-e-jānāñ ke
ajiib sog meñ haiñ intizār kī ghaḌiyāñ
baġhair un ke thī mumkin kahāñ guzar-auqāt
garāñ hai daulat-e-qārūñ se daulat-e-yārāñ
tamām nau ke nairañg us meñ haiñ 'az.har'
ġhazal tirī hai ki ā.īna-e-bahār-o-ḳhizāñ
main kis liye hun main kya hun kyon aa gaya hun yahan
ba-ru-e-aina kab se khaDa hun main hairan
baDi ariz-o-wasia hai bahut kushada hai
hai tang-daston pe phir tang kyon faza-e-jahan
jhalak dikha ke achanak sidhaar jata hai
misal-e-KHwab hasin hai haqiqat-e-insan
main sar nigun hi raha ghayat-e-nadamat se
palaT gai mere pas aa ke rahmat-e-yazdan
chhupae baiTha hun main jis ko dil ke pardon mein
wo naqsh-e-KHwab abhi tak hai mawara-e-bayan
har ek dam mein mere un ka dam bhi shamil hai
gham-e-jahan se ho kaise juda gham-e-jaanan
usi nazar usi shai ke hain muntazir hum to
kaman-e-yar se nikle jo par-fishan pechan
usi tabassum-e-shadab ki tamanna hai
hilal-e-lab se jo phuTe KHiraman-o-raqsan
ajib rang the bazm-e-nashat-e-jaanan ke
ajib sog mein hain intizar ki ghaDiyan
baghair un ke thi mumkin kahan guzar-auqat
garan hai daulat-e-qarun se daulat-e-yaran
tamam nau ke nairang us mein hain 'azhar'
ghazal teri hai ki aaina-e-bahaar-o-KHizan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.