main kis se puchhta ki bhala kya kami hui
maiñ kis se pūchhtā ki bhalā kyā kamī huī
thā shor jis galī meñ vahāñ ḳhāmushī huī
ik maiñ hī to nahīñ huuñ pareshān-o-pur-malāl
ai shaam tere saath bhī ab ke baḌī huī
mahfūz kar na pā.eñge dīvār-o-bām-o-dar
merī fuġhāñ huī ki vo terī hañsī huī
dīvār-e-jāñ girā ke hī niklegī yād-e-yār
ek meḳh jaise dil ke hai andar gaḌhī huī
khultī hī jā rahī hai girāñbārī-e-junūñ
zanjīr kyā hai paañv se mere bañdhī huī
ab dekhiye to kyā ye vahī chashm hai 'na.īm'
zambīl thī ki ḳhvāboñ se koī bharī huī
main kis se puchhta ki bhala kya kami hui
tha shor jis gali mein wahan KHamushi hui
ek main hi to nahin hun pareshan-o-pur-malal
ai sham tere sath bhi ab ke baDi hui
mahfuz kar na paenge diwar-o-baam-o-dar
meri fughan hui ki wo teri hansi hui
diwar-e-jaan gira ke hi niklegi yaad-e-yar
ek meKH jaise dil ke hai andar gaDhi hui
khulti hi ja rahi hai giranbari-e-junun
zanjir kya hai panw se mere bandhi hui
ab dekhiye to kya ye wahi chashm hai 'naim'
zambil thi ki KHwabon se koi bhari hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.