main kya KHush un ke KHwab mein aane se ho gaya
main kya KHush un ke KHwab mein aane se ho gaya
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
maiñ kyā ḳhush un ke ḳhvāb meñ aane se ho gayā
sharminda huuñ ki kyoñ shab-e-hijrāñ meñ so gayā
muddat meñ gar patā bhī milā kū-e-yār kā
qāsid gayā to raah meñ naame ko kho gayā
gulchīñ kī aag se bhī na hāsil huī murād
kyoñ abr āshiyāna hamārā bhigo gayā
'nāzim' hikāyat-e-ġham-e-hijrāñ tamām kar
shukr-e-ḳhudā ki nāseh-e-be-sarfa-go gayā
main kya KHush un ke KHwab mein aane se ho gaya
sharminda hun ki kyon shab-e-hijran mein so gaya
muddat mein gar pata bhi mila ku-e-yar ka
qasid gaya to rah mein name ko kho gaya
gulchin ki aag se bhi na hasil hui murad
kyon abr aashiyana hamara bhigo gaya
'nazim' hikayat-e-gham-e-hijran tamam kar
shukr-e-KHuda ki naseh-e-be-sarfa-go gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.