main lafzon ke asar ka moajiza hun
maiñ lafzoñ ke asar kā mo.ajiza huuñ
mujhe dekho mujassam ik duā huuñ
maiñ chhoToñ meñ bahut chhoTā huuñ lekin
baḌoñ ke darmiyāñ sab se baḌā huuñ
talāsh-e-rizq meñ niklā thā ghar se
ab apne aap ko maiñ DhūñDhtā huuñ
atā kar hausle ko istaqāmat
mire ma.abūd tanhā rah gayā huuñ
mire alfāz haiñ āvāz 'mohsin'
maiñ naġhma huuñ agarche be-sadā huuñ
main lafzon ke asar ka moajiza hun
mujhe dekho mujassam ek dua hun
main chhoTon mein bahut chhoTa hun lekin
baDon ke darmiyan sab se baDa hun
talash-e-rizq mein nikla tha ghar se
ab apne aap ko main DhunDhta hun
ata kar hausle ko istaqamat
mere mabud tanha rah gaya hun
mere alfaz hain aawaz 'mohsin'
main naghma hun agarche be-sada hun
- Book : Aiwan (Pg. 96)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.