main lipaTta raha hun Khaaron se
maiñ lipaTtā rahā huuñ ḳhāroñ se
tum ne pūchhā nahīñ bahāroñ se
chāñdnī se sahāb-pāroñ se
jī bahaltā hai yādgāroñ se
aa mire chāñd raat suunī hai
baat bantī nahīñ sitāroñ se
manzil-e-zindagī hai kitnī duur
pūchh letā huuñ rahguzāroñ se
baat jab bhī chhiḌī mohabbat kī
ḳhāmushī bol uThī mazāroñ se
ek bhī āftāb ban na sakā
laakh TuuTe hue sitāroñ se
shām-e-ġham bhī guzar ga.ī hai 'zafar'
khelte khelte ġhubāroñ se
main lipaTta raha hun KHaron se
tum ne puchha nahin bahaaron se
chandni se sahab-paron se
ji bahalta hai yaadgaron se
aa mere chand raat suni hai
baat banti nahin sitaron se
manzil-e-zindagi hai kitni dur
puchh leta hun rahguzaron se
baat jab bhi chhiDi mohabbat ki
KHamushi bol uThi mazaron se
ek bhi aaftab ban na saka
lakh TuTe hue sitaron se
sham-e-gham bhi guzar gai hai 'zafar'
khelte khelte ghubaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.