main na kahta tha mere yar badal jata hai
maiñ na kahtā thā mire yaar badal jaatā hai
vaqt kitnā bhī ho dushvār badal jaatā hai
maiñ ne bas dil kī sunī varna tire baare meñ
log kahte the ḳhabar-dār badal jaatā hai
hākim-e-vaqt yuuñ maġhrūr na ban hosh meñ aa
piir aatā hai to itvār badal jaatā hai
tujh pe kaise ho yaqīñ mujh ko ki ab tū yaksar
apnā kahtā to hai har baar badal jaatā hai
ye nazākat ye dikhāvā ye takabbur achchhā
yā'nī daulat se bhī me'yār badal jaatā hai
dekhne vaalo haqārat se na dekho mujh ko
bhuuk se jism kā ākār badal jaatā hai
kyā batā.ūñ ki mohabbat ke safar meñ 'rāhī'
ġham to rah jaatā hai ġham-ḳhvār badal jaatā hai
main na kahta tha mere yar badal jata hai
waqt kitna bhi ho dushwar badal jata hai
main ne bas dil ki suni warna tere bare mein
log kahte the KHabar-dar badal jata hai
hakim-e-waqt yun maghrur na ban hosh mein aa
pir aata hai to itwar badal jata hai
tujh pe kaise ho yaqin mujh ko ki ab tu yaksar
apna kahta to hai har bar badal jata hai
ye nazakat ye dikhawa ye takabbur achchha
ya'ni daulat se bhi me'yar badal jata hai
dekhne walo haqarat se na dekho mujh ko
bhuk se jism ka aakar badal jata hai
kya bataun ki mohabbat ke safar mein 'rahi'
gham to rah jata hai gham-KHwar badal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.