main nahin rota hun ab ye aankh roti hai mujhe
maiñ nahīñ rotā huuñ ab ye aañkh rotī hai mujhe
rotī hai aur sar se paañv tak bhigotī hai mujhe
bad-duā hai jaane kis kī yaad kī jo har ghaḌī
har guzishta lamhe se vahshat sī hotī hai mujhe
mumkina had tak maiñ apnī dastaras meñ huuñ magar
pichhle kuchh din se koī shai mujh meñ khotī hai mujhe
mutma.in thā din ke bikhrāv se maiñ lekin ye raat
dāna-dāna phir ajab Dhab se pirotī hai mujhe
maiñ bahut mashshāq ik tairāk thā lekin vo aañkh
dekh ab ma.a-kashtī-e-jāñ ke Dubotī hai mujhe
main nahin rota hun ab ye aankh roti hai mujhe
roti hai aur sar se panw tak bhigoti hai mujhe
bad-dua hai jaane kis ki yaad ki jo har ghaDi
har guzishta lamhe se wahshat si hoti hai mujhe
mumkina had tak main apni dastaras mein hun magar
pichhle kuchh din se koi shai mujh mein khoti hai mujhe
mutmain tha din ke bikhraw se main lekin ye raat
dana-dana phir ajab Dhab se piroti hai mujhe
main bahut mashshaq ek tairak tha lekin wo aankh
dekh ab ma-kashti-e-jaan ke Duboti hai mujhe
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 48)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.