Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine apna haq manga tha wo nahaq hi ruTh gaya

Deepti Mishra

maine apna haq manga tha wo nahaq hi ruTh gaya

Deepti Mishra

MORE BYDeepti Mishra

    maiñ ne apnā haq māñgā thā vo nāhaq ruuTh gayā

    bas itnī baat huī thī saath hamārā chhūT gayā

    vo merā hai āḳhir ik din mujh ko mil jā.egā

    mere man ek bharam thā kab tak rahtā TuuT gayā

    duniyā bhar shān-o-shaukat jyuuñ tyuuñ dharī rahī

    mere bai-rāgī man meñ jab sach aayā to jhuuT gayā

    kyā jaane ye aañkh khulī phir se koī bharam huā

    ab ke aise uchTā dil kuchh chhoḌā aur kuchh chhūT gayā

    laḌte laḌte āḳhir ik din panchhī jiit huī

    parān pakherū ne tan chhoḌā ḳhālī piñjra chhūT gayā

    main ne apna haq manga tha wo nahaq hi ruTh gaya

    bas itni si baat hui thi sath hamara chhuT gaya

    wo mera hai aaKHir ek din mujh ko mil hi jaega

    mere man ka ek bharam tha kab tak rahta TuT gaya

    duniya bhar ki shan-o-shaukat jyun ki tyun hi dhari rahi

    mere bai-ragi man mein jab sach aaya to jhuT gaya

    kya jaane ye aankh khuli ya phir se koi bharam hua

    ab ke aise uchTa dil kuchh chhoDa aur kuchh chhuT gaya

    laDte laDte aaKHir ek din panchhi ki hi jit hui

    paran pakheru ne tan chhoDa KHali pinjra chhuT gaya

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 651)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
    • Edition : 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now