maine bilkul nahin chaha ki koi baat baDhe
maiñ ne bilkul nahīñ chāhā ki koī baat baḌhe
us ne jab haath baḌhāyā to mire haath baḌhe
yaar aise kabhī izzat nahīñ milne vaalī
apnī auqāt meñ aa jaao ki auqāt baḌhe
mujhe us se to koī aur nahīñ thā matlab
maiñ ne chāhā thā zarā mel-mulāqāt baḌhe
us ne āgāh kiyā lauT ke jaane se mujhe
aur phir merī taraf kitne hī sadmāt baḌhe
kuchh sitāroñ kā garebāñ nahīñ bachne vaalā
haath ye merā agar sū-e-samāvāt baḌhe
main ne bilkul nahin chaha ki koi baat baDhe
us ne jab hath baDhaya to mere hath baDhe
yar aise kabhi izzat nahin milne wali
apni auqat mein aa jao ki auqat baDhe
mujhe us se to koi aur nahin tha matlab
main ne chaha tha zara mel-mulaqat baDhe
us ne aagah kiya lauT ke jaane se mujhe
aur phir meri taraf kitne hi sadmat baDhe
kuchh sitaron ka gareban nahin bachne wala
hath ye mera agar su-e-samawat baDhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.