maine dariya ko nekiyan din hain
maiñ ne dariyā ko nekiyāñ diiñ haiñ
us ne badle meñ machhliyāñ diiñ haiñ
bachche bārish bhī mujh se māñgte haiñ
jab se kāġhaz kī kashtiyāñ diiñ haiñ
fā.ede ḳhud-kushī ke samjhā kar
us ne tohfe meñ rassiyāñ diiñ haiñ
muntazir hai mire utarne kā
jis ne chaḌhne ko sīḌhiyāñ diiñ haiñ
ziist ke raaz kholne ke liye
chand sāñsoñ kī chābiyāñ diiñ haiñ
us ko masrūf dekh kar maiñ ne
apnī fursat ko gāliyāñ diiñ haiñ
kab milī muft meñ vafādārī
pahle kutte ko haDDiyāñ diiñ haiñ
main ne dariya ko nekiyan din hain
us ne badle mein machhliyan din hain
bachche barish bhi mujh se mangte hain
jab se kaghaz ki kashtiyan din hain
faede KHud-kushi ke samjha kar
us ne tohfe mein rassiyan din hain
muntazir hai mere utarne ka
jis ne chaDhne ko siDhiyan din hain
zist ke raaz kholne ke liye
chand sanson ki chabiyan din hain
us ko masruf dekh kar main ne
apni fursat ko galiyan din hain
kab mili muft mein wafadari
pahle kutte ko haDDiyan din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.