maine jis ko chaha tha
maiñ ne jis ko chāhā thā
vo ḳhushbū kā jhoñkā thā
chāñd ke ujle chehre par
vaqt kā gahrā saaya thā
pīchhe muḌ kar dekhne vaalā
duur ga.e tak royā thā
tū bhī to vo paḌh na sakā
chehre par jo likkhā thā
kaise us ko mahv karūñ
barsoñ jis ko puujā thā
tū ne jis ko kaaT diyā hai
maiñ us peḌ kā pattā thā
main ne jis ko chaha tha
wo KHushbu ka jhonka tha
chand ke ujle chehre par
waqt ka gahra saya tha
pichhe muD kar dekhne wala
dur gae tak roya tha
tu bhi to wo paDh na saka
chehre par jo likkha tha
kaise us ko mahw karun
barson jis ko puja tha
tu ne jis ko kaT diya hai
main us peD ka patta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.