maine jis shaKHs ki barson se taraf-dari ki
maiñ ne jis shaḳhs kī barsoñ se taraf-dārī kī
us ne mere hī liye jañg kī tayyārī kī
mere baare meñ vo tahqīq kiyā kartā hai
mil ga.ī mujh ko sanad merī vafādārī kī
jin se īmān kī tasvīr hai TukḌe TukḌe
guftugū vo bhī kiyā karte haiñ ḳhuddārī kī
chal diye jānib-e-manzil ko ba-hamrāh-e-junūñ
ham ne to fikr na kī raah kī dushvārī kī
bazm-e-yārāñ meñ jo ḳhāmosh rahā kartā thā
aaj us shaḳhs ne lafzoñ kī sharar-bārī kī
ishq meñ dil ko tasallī nahīñ milne vaalī
phir mire saath mire nafs ne makkārī kī
uTh gayā aaj naqāb us ke ruḳh-e-zebā se
toḌ dī us ne vo zanjīr hī dildārī kī
jis jahāñ meñ yuuñ adāvat kī chhurī chaltī ho
kyā zarūrat vahāñ 'ḳhurshīd' ravādārī kī
main ne jis shaKHs ki barson se taraf-dari ki
us ne mere hi liye jang ki tayyari ki
mere bare mein wo tahqiq kiya karta hai
mil gai mujh ko sanad meri wafadari ki
jin se iman ki taswir hai TukDe TukDe
guftugu wo bhi kiya karte hain KHuddari ki
chal diye jaanib-e-manzil ko ba-hamrah-e-junun
hum ne to fikr na ki rah ki dushwari ki
bazm-e-yaran mein jo KHamosh raha karta tha
aaj us shaKHs ne lafzon ki sharar-bari ki
ishq mein dil ko tasalli nahin milne wali
phir mere sath mere nafs ne makkari ki
uTh gaya aaj naqab us ke ruKH-e-zeba se
toD di us ne wo zanjir hi dildari ki
jis jahan mein yun adawat ki chhuri chalti ho
kya zarurat wahan 'KHurshid' rawadari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.