maine jo kuchh kho diya ab isko pa sakta nahin
maiñ ne jo kuchh kho diyā ab is ko pā saktā nahīñ
dil se ye ehsās bhī lekin miTā saktā nahīñ
vo kanār-e-āb baiThe chāñd ugte dekhnā
jhiil kī tah se vo manzar ab ugā saktā nahīñ
sab dar-o-dīvār us ke lams ke maqrūz haiñ
apne ghar se us kī tasvīreñ miTā saktā nahīñ
mat milo is se tumhārī baat maiñ ne maan lī
us ke ġham meñ chaar aañsū bhī bahā saktā nahīñ
shahr-bhar meñ phuul kī chādar bichhānā hai mujhe
apne shahzādoñ ko kāñToñ par chalā saktā nahīñ
kuchh banānā chāhtā huuñ aur ban jaatā hai kuchh
maiñ ḳhud apne ghar ko naqshe se milā saktā nahīñ
main ne jo kuchh kho diya ab is ko pa sakta nahin
dil se ye ehsas bhi lekin miTa sakta nahin
wo kanar-e-ab baiThe chand ugte dekhna
jhil ki tah se wo manzar ab uga sakta nahin
sab dar-o-diwar us ke lams ke maqruz hain
apne ghar se us ki taswiren miTa sakta nahin
mat milo is se tumhaari baat main ne man li
us ke gham mein chaar aansu bhi baha sakta nahin
shahr-bhar mein phul ki chadar bichhana hai mujhe
apne shahzadon ko kanTon par chala sakta nahin
kuchh banana chahta hun aur ban jata hai kuchh
main KHud apne ghar ko naqshe se mila sakta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.