maine jo rah li dushwar ziyaada nikli
maiñ ne jo raah lī dushvār ziyāda niklī
mere andāze se har baar ziyāda niklī
koī rauzan na jharokā na koī darvāza
merī ta.amīr meñ dīvār ziyāda niklī
ye mirī maut ke asbāb meñ likkhā huā hai
ḳhuun meñ ishq kī miqdār ziyāda niklī
kitnī jaldī diyā ghar vāloñ ko phal aur saaya
mujh se to peḌ kī raftār ziyāda niklī
main ne jo rah li dushwar ziyaada nikli
mere andaze se har bar ziyaada nikli
koi rauzan na jharoka na koi darwaza
meri tamir mein diwar ziyaada nikli
ye meri maut ke asbab mein likkha hua hai
KHun mein ishq ki miqdar ziyaada nikli
kitni jaldi diya ghar walon ko phal aur saya
mujh se to peD ki raftar ziyaada nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.