maine kaha ho jalwa-gar usne kaha nahin nahin
maiñ ne kahā ho jalva-gar us ne kahā nahīñ nahīñ
maiñ ne kahā milā nazar us ne kahā nahīñ nahīñ
maiñ ne kahā ye shaam hai us ne kahā ye jaam hai
maiñ ne kahā to jaam bhar us ne kahā nahīñ
maiñ ne kahā kahāñ mileñ us ne kahā jahāñ kahīñ
maiñ ne kahā ki baam par us ne kahā nahīñ nahīñ
maiñ ne kahā ki ruḳh idhar us ne kahā hai chashm-e-tar
maiñ ne kahā ki sabr kar us ne kahā nahīñ nahīñ
maiñ ne kahā ki ho nazar us ne kahā kahāñ kidhar
maiñ ne kahā 'mayank' par us ne kahā nahīñ nahīñ
main ne kaha ho jalwa-gar us ne kaha nahin nahin
main ne kaha mila nazar us ne kaha nahin nahin
main ne kaha ye sham hai us ne kaha ye jam hai
main ne kaha to jam bhar us ne kaha nahin
main ne kaha kahan milen us ne kaha jahan kahin
main ne kaha ki baam par us ne kaha nahin nahin
main ne kaha ki ruKH idhar us ne kaha hai chashm-e-tar
main ne kaha ki sabr kar us ne kaha nahin nahin
main ne kaha ki ho nazar us ne kaha kahan kidhar
main ne kaha 'mayank' par us ne kaha nahin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.