maine kis shauq se ek umr ghazal-KHwani ki
maiñ ne kis shauq se ik umr ġhazal-ḳhvānī kī
kitnī gahrī haiñ lakīreñ mirī peshānī kī
vaqt hai mere ta.āqub meñ chhupā le mujh ko
jū-e-kam-āb qasam tujh ko tire paanī kī
yuuñ guzartī hai rag-o-pai se tirī yaad kī lahr
jaise zanjīr chhanak uThtī hai zindānī kī
ajnabī se nazar aa.e tire chehre ke nuqūsh
jab tire husn pe maiñ ne nazar-e-sānī kī
mujh se kahtā hai koī aap pareshān na hoñ
mirī zulfoñ ko to aadat hai pareshānī kī
zindagī kyā hai tilismāt kī vaadī kā safar
phir bhī fursat nahīñ miltī mujhe hairānī kī
vo bhī the zikr bhī thā rang-e-ġhazal kā 'shabnam'
phir to maiñ ne sar-e-mahfil vo gul-afshānī kī
main ne kis shauq se ek umr ghazal-KHwani ki
kitni gahri hain lakiren meri peshani ki
waqt hai mere taaqub mein chhupa le mujh ko
ju-e-kam-ab qasam tujh ko tere pani ki
yun guzarti hai rag-o-pai se teri yaad ki lahr
jaise zanjir chhanak uThti hai zindani ki
ajnabi se nazar aae tere chehre ke nuqush
jab tere husn pe main ne nazar-e-sani ki
mujh se kahta hai koi aap pareshan na hon
meri zulfon ko to aadat hai pareshani ki
zindagi kya hai tilismat ki wadi ka safar
phir bhi fursat nahin milti mujhe hairani ki
wo bhi the zikr bhi tha rang-e-ghazal ka 'shabnam'
phir to main ne sar-e-mahfil wo gul-afshani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.