maine logon ko na logon ne mujhe dekha tha
maiñ ne logoñ ko na logoñ ne mujhe dekhā thā
sirf us raat añdheroñ ne mujhe dekhā thā
pūchhtā phirtā huuñ maiñ apnā pata jañgal se
āḳhirī baar daraḳhtoñ ne mujhe dekhā thā
yūñhī in āñkhoñ meñ rahtī nahīñ sūrat merī
āḳhir us shaḳhs ke ḳhvāboñ ne mujhe dekhā thā
is liye kuchh bhī salīqe se nahīñ kar paatā
ghar meñ bikhrī huī chīzoñ ne mujhe dekhā thā
Dūbte vaqt bachāne nahīñ aa.e lekin
yahī kaafī hai ki apnoñ ne mujhe dekhā thā
main ne logon ko na logon ne mujhe dekha tha
sirf us raat andheron ne mujhe dekha tha
puchhta phirta hun main apna pata jangal se
aaKHiri bar daraKHton ne mujhe dekha tha
yunhi in aankhon mein rahti nahin surat meri
aaKHir us shaKHs ke KHwabon ne mujhe dekha tha
is liye kuchh bhi saliqe se nahin kar pata
ghar mein bikhri hui chizon ne mujhe dekha tha
Dubte waqt bachane nahin aae lekin
yahi kafi hai ki apnon ne mujhe dekha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.