maine pyala abhi piya hi nahin
maiñ ne pyāla abhī piyā hī nahīñ
aisā lagtā hai maiñ jiyā hī nahīñ
umr-e-zanjīr ik havādis kī
saañs to lī hai dam liyā hī nahīñ
har qadam par hai ik nayā rasta
is galī meñ to rāsta hī nahīñ
manzileñ rāste qadam āñkheñ
sab añdhere meñ haiñ diyā hī nahīñ
kaisī mushkil zamīn kā hai safar
hai radīf aur qāfiya hī nahīñ
main ne pyala abhi piya hi nahin
aisa lagta hai main jiya hi nahin
umr-e-zanjir ek hawadis ki
sans to li hai dam liya hi nahin
har qadam par hai ek naya rasta
is gali mein to rasta hi nahin
manzilen raste qadam aankhen
sab andhere mein hain diya hi nahin
kaisi mushkil zamin ka hai safar
hai radif aur qafiya hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.