maine socha hi nahin mar ke kidhar jaunga
maiñ ne sochā hī nahīñ mar ke kidhar jā.ūñgā
maiñ to mānind-e-sabā yaañ se guzar jā.ūñgā
sair-e-gulshan kā ye anjām kahāñ sochā thā
le ke is bazm se ik zaḳhm-e-jigar jā.ūñgā
jab se mānūs tire ġham se huā huuñ ai dost
aisā lagtā hai ki har ġham se guzar jā.ūñgā
husn kī aañch na do ishq zada dil ko mire
naqsh-e-poshīda kī mānind ubhar jā.ūñgā
ye na bhūleñ mirī hastī ko miTāne vaale
merī fitrat hai sañvarnā maiñ sañvar jā.ūñgā
main ne socha hi nahin mar ke kidhar jaunga
main to manind-e-saba yan se guzar jaunga
sair-e-gulshan ka ye anjam kahan socha tha
le ke is bazm se ek zaKHm-e-jigar jaunga
jab se manus tere gham se hua hun ai dost
aisa lagta hai ki har gham se guzar jaunga
husn ki aanch na do ishq zada dil ko mere
naqsh-e-poshida ki manind ubhar jaunga
ye na bhulen meri hasti ko miTane wale
meri fitrat hai sanwarna main sanwar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.