maine teri yaad bhula di shahzadi
maiñ ne terī yaad bhulā dī shahzādī
tāj-mahal ko aag lagā dī shahzādī
mel diloñ kā kar ke apne mālik ne
beach meñ ik dīvār uThā dī shahzādī
ham bhī ḳhuub hañse duniyā kī hālat par
duniyā ne bhī ḳhuub sazā dī shahzādī
tere joban ne merī in āñkhoñ kī
saarī pūñjī ḳharch karā dī shahzādī
tujh ko kho kar khānā piinā chhoḌ diyā
hijr ne merī bhuuk miTā dī shahzādī
jhuriyāñ kyoñ chehre par haiñ kyā batlā.ūñ
ishq ne merī umr ghaTā dī shahzādī
candle par jab aan girā ik parvāna
maiñ ne cigarette raakh banā dī shahzādī
har sūrat ab tujh se duur hī rahnā hai
terā ishq mirī barbādī shahzādī
main ne teri yaad bhula di shahzadi
taj-mahal ko aag laga di shahzadi
mel dilon ka kar ke apne malik ne
beach mein ek diwar uTha di shahzadi
hum bhi KHub hanse duniya ki haalat par
duniya ne bhi KHub saza di shahzadi
tere joban ne meri in aankhon ki
sari punji KHarch kara di shahzadi
tujh ko kho kar khana pina chhoD diya
hijr ne meri bhuk miTa di shahzadi
jhuriyan kyon chehre par hain kya batlaun
ishq ne meri umr ghaTa di shahzadi
candle par jab aan gira ek parwana
main ne cigarette rakh bana di shahzadi
har surat ab tujh se dur hi rahna hai
tera ishq meri barbaadi shahzadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.