maine to ek baat kahi thi baat ko phailaya hai kitna
maiñ ne to ik baat kahī thī baat ko phailāyā hai kitnā
ab maiñ samjhā huuñ duniyā ne mujh ko pahchānā hai kitnā
jaane kis ne thappaḌ maarā kaale bādal ke chehre par
maiñ ne dekhā hai bādal ko ġhusse meñ barsā hai kitnā
lāThī paanī meñ Dāloñ to vāpas aatī hai paanī par
dariyā zor-āvar hai kitnā merā sarmāya hai kitnā
kal maiñ ne kuchh chehre dekhe cafe ke ik lawn meñ baiThe
kyā batlā.ūñ mujh ko us kā chehra yaad aayā hai kitnā
us se mil kar ḳhush hotā huuñ phir is soch meñ kho jaatā huuñ
bāhar se ujlā hai kitnā andar se kaalā hai kitnā
'rāmpūr' jī ye mat pūchho dil merā rone lagtā hai
kyā boloñ sochā hai kitnā aur us ko paayā hai kitnā
main ne to ek baat kahi thi baat ko phailaya hai kitna
ab main samjha hun duniya ne mujh ko pahchana hai kitna
jaane kis ne thappaD mara kale baadal ke chehre par
main ne dekha hai baadal ko ghusse mein barsa hai kitna
laThi pani mein Dalon to wapas aati hai pani par
dariya zor-awar hai kitna mera sarmaya hai kitna
kal main ne kuchh chehre dekhe cafe ke ek lawn mein baiThe
kya batlaun mujh ko us ka chehra yaad aaya hai kitna
us se mil kar KHush hota hun phir is soch mein kho jata hun
bahar se ujla hai kitna andar se kala hai kitna
'rampur' ji ye mat puchho dil mera rone lagta hai
kya bolon socha hai kitna aur us ko paya hai kitna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.