maine wo nazm likhi hai ki KHuda jaanta hai
maiñ ne vo nazm likhī hai ki ḳhudā jāntā hai
us kā har lafz ḳhudā.ī kā patā jāntā hai
merī āñkhoñ meñ ye tasvīr zarā ġhaur se dekh
mujh ko us shaḳhs se milnā hai batā jāntā hai
maiñ bhī zanjīr nahīñ hotā kisī vahshat se
vo bhī tanhā.ī se bachne kī duā jāntā hai
din to maiñ phir bhī kisī Dhab se bitā letā huuñ
raat jo mujh pe guzartī hai ḳhudā jāntā hai
merī sūrat ye dikhā.e bhī to kaise mujh ko
mere baare meñ ye ā.īna bhī kyā jāntā hai
mere kashkol ko bhar de ki maiñ ḳhālī huuñ bahut
tujh sivā kaun saḳhī merā patā jāntā hai
dil ke baare meñ maiñ tafsīl batā.ūñ tumheñ kyā
muḳhtasar ye ki mohabbat ko sazā jāntā hai
mas.ala ye hai ki maiñ ḳhush huuñ akelā ho kar
is qadar ḳhush ki faqat merā ḳhudā jāntā hai
zindagī khel hai shatranj se bhī pechīda
jānñe vaalā bhī is baab meñ kyā jāntā hai
harf ko harf batātā hai vo ḳhāmosh dahan
saut ko saut samajhtā hai sadā jāntā hai
'mīr' kī mujh ko sanad de to maiñ sochūñ is par
nāravā harf ko jo harf-e-ravā jāntā hai
dil dhaḌakne kī bhī āvāz nahīñ aatī 'zeb'
aisī ḳhāmoshī ko tū kaise sadā jāntā hai
main ne wo nazm likhi hai ki KHuda jaanta hai
us ka har lafz KHudai ka pata jaanta hai
meri aankhon mein ye taswir zara ghaur se dekh
mujh ko us shaKHs se milna hai bata jaanta hai
main bhi zanjir nahin hota kisi wahshat se
wo bhi tanhai se bachne ki dua jaanta hai
din to main phir bhi kisi Dhab se bita leta hun
raat jo mujh pe guzarti hai KHuda jaanta hai
meri surat ye dikhae bhi to kaise mujh ko
mere bare mein ye aaina bhi kya jaanta hai
mere kashkol ko bhar de ki main KHali hun bahut
tujh siwa kaun saKHi mera pata jaanta hai
dil ke bare mein main tafsil bataun tumhein kya
muKHtasar ye ki mohabbat ko saza jaanta hai
masala ye hai ki main KHush hun akela ho kar
is qadar KHush ki faqat mera KHuda jaanta hai
zindagi khel hai shatranj se bhi pechida
jaanne wala bhi is bab mein kya jaanta hai
harf ko harf batata hai wo KHamosh dahan
saut ko saut samajhta hai sada jaanta hai
'mir' ki mujh ko sanad de to main sochun is par
narawa harf ko jo harf-e-rawa jaanta hai
dil dhaDakne ki bhi aawaz nahin aati 'zeb'
aisi KHamoshi ko tu kaise sada jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.