maine ye kab kaha hai ki wo mujhko tanha nahin chhoDta
maiñ ne ye kab kahā hai ki vo mujh ko tanhā nahīñ chhoḌtā
chhoḌtā hai magar ek din se ziyāda nahīñ chhoḌtā
kaun sahrāoñ kī pyaas hai in makānoñ kī buniyād meñ
bārishoñ se agar bach bhī jaa.eñ to dariyā nahīñ chhoḌtā
duur ummīd kī khiḌkiyoñ se koī jhāñktā hai yahāñ
aur mere galī chhoḌne tak darīcha nahīñ chhoḌtā
maiñ jise chhoḌ kar tum se chhup kar milā huuñ agar aaj vo
dekh letā to shāyad vo donoñ ko zinda nahīñ chhoḌtā
kaun-o-imakān meñ do tarah ke hī to sho.abada-bāz haiñ
ek parda girātā hai aur ek parda nahīñ chhoḌtā
sach kahūñ merī qurbat to ḳhud us kī sāñsoñ kā vardān hai
maiñ jise chhoḌ detā huuñ us ko qabīla nahīñ chhoḌtā
tai-shuda vaqt par vo pahuñch jaatā hai pyaar karne vasūl
jis tarah apnā qarza kabhī koī baniyā nahīñ chhoḌtā
pahle mujh par bahut bhauñktā hai ki maiñ ajnabī huuñ koī
aur agar ghar se jaane kā bolūñ to kurtā nahīñ chhoḌtā
log kahte haiñ tahzīb 'hāfī' use chhoḌ kar Thiik hai
hijr itnā hī āsān hotā to tauñsa nahīñ chhoḌtā
main ne ye kab kaha hai ki wo mujh ko tanha nahin chhoDta
chhoDta hai magar ek din se ziyaada nahin chhoDta
kaun sahraon ki pyas hai in makanon ki buniyaad mein
barishon se agar bach bhi jaen to dariya nahin chhoDta
dur ummid ki khiDkiyon se koi jhankta hai yahan
aur mere gali chhoDne tak daricha nahin chhoDta
main jise chhoD kar tum se chhup kar mila hun agar aaj wo
dekh leta to shayad wo donon ko zinda nahin chhoDta
kaun-o-imakan mein do tarah ke hi to shoabada-baz hain
ek parda giraata hai aur ek parda nahin chhoDta
sach kahun meri qurbat to KHud us ki sanson ka wardan hai
main jise chhoD deta hun us ko qabila nahin chhoDta
tai-shuda waqt par wo pahunch jata hai pyar karne wasul
jis tarah apna qarza kabhi koi baniya nahin chhoDta
pahle mujh par bahut bhaunkta hai ki main ajnabi hun koi
aur agar ghar se jaane ka bolun to kurta nahin chhoDta
log kahte hain tahzib 'hafi' use chhoD kar Thik hai
hijr itna hi aasan hota to taunsa nahin chhoDta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.