main nikal ke aa gaya hun teri bandagi se aage
maiñ nikal ke aa gayā huuñ tirī bandagī se aage
abhī kitnā rāsta hai mirī zindagī se aage
tirī sham.a chhoḌ aayā tirī masjidoñ meñ yārab
maiñ tujhī ko DhūñDtā huuñ tirī raushnī se aage
mirā haal ho kuchh aisā tujhe pā ke bhuul jā.ūñ
koī aisī be-ḳhudī ho mirī be-ḳhudī se aage
jahāñ maut samjhūñ apnī vahīñ zindagī javāñ ho
koī rāsta na pā.ūñ maiñ tirī galī se aage
vo charāġh jal na paa.e mile dil meñ ai 'musavvir'
koī aur shā.irī hai mirī shā.irī se aage
main nikal ke aa gaya hun teri bandagi se aage
abhi kitna rasta hai meri zindagi se aage
teri shama chhoD aaya teri masjidon mein yarab
main tujhi ko DhunDta hun teri raushni se aage
mera haal ho kuchh aisa tujhe pa ke bhul jaun
koi aisi be-KHudi ho meri be-KHudi se aage
jahan maut samjhun apni wahin zindagi jawan ho
koi rasta na paun main teri gali se aage
wo charagh jal na pae mile dil mein ai 'musawwir'
koi aur shairi hai meri shairi se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.