main pasban-e-bagh-e-haqiqat se Dar gaya
maiñ pāsbān-e-bāġh-e-haqīqat se Dar gayā
so dasht-e-dil kī ḳhaak uḌāne se mar gayā
bahtā rahā maiñ sāhil-e-duniyā kī ret par
āḳhir badan kī ḳhaak sameTī to ghar gayā
kuchh to mire suḳhan kī harārat se khil uThā
kuchh maiñ tire jamāl ke sadqe sañvar gayā
pahle to ḳhair dil meñ tirī gard-e-yād thī
par ab to vo ġhubār bhī dil se utar gayā
āvāz de rahe haiñ mujhe vahshiyān-e-shahr
aur bain kar rahe haiñ ki 'fahmī' kidhar gayā
main pasban-e-bagh-e-haqiqat se Dar gaya
so dasht-e-dil ki KHak uDane se mar gaya
bahta raha main sahil-e-duniya ki ret par
aaKHir badan ki KHak sameTi to ghar gaya
kuchh to mere suKHan ki hararat se khil uTha
kuchh main tere jamal ke sadqe sanwar gaya
pahle to KHair dil mein teri gard-e-yaad thi
par ab to wo ghubar bhi dil se utar gaya
aawaz de rahe hain mujhe wahshiyan-e-shahr
aur bain kar rahe hain ki 'fahmi' kidhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.