main pareshan hun nae ghar se
maiñ pareshān huuñ na.e ghar se
saare darvāze lagte haiñ sar se
qartaba to banā nahīñ saktā
dil banātā huuñ sang-e-marmar se
jo garajte haiñ vo baraste nahīñ
jo garajte the aaj vo barse
muḳhtasar ye ki ḳhānamāñ-barbād
bistaroñ meñ qiyām ko tarse
maiñ ne totā badal liyā 'ikrām'
surma.ī rang ke kabūtar se
main pareshan hun nae ghar se
sare darwaze lagte hain sar se
qartaba to bana nahin sakta
dil banata hun sang-e-marmar se
jo garajte hain wo baraste nahin
jo garajte the aaj wo barse
muKHtasar ye ki KHanaman-barbaad
bistaron mein qiyam ko tarse
main ne tota badal liya 'ikram'
surmai rang ke kabutar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.