main phir se ho jaunga tanha ek din
maiñ phir se ho jā.ūñgā tanhā ik din
bain karegā ruuh kā sannāTā ik din
jin meñ abhī ik vahshī aag ke saa.e haiñ
vo āñkheñ ho jā.eñgī sahrā ik din
biit chukā hogā ye ḳhvāboñ kā mausam
band milegā niiñd kā darvāza ik din
miT jā.egā sehr tumhārī āñkhoñ kā
apne paas bulā legī duniyā ik din
Duub rahā huuñ jhuuT aur khoT ke dariyā meñ
jaane kahāñ le jaa.e ye dariyā ik din
maiñ bhī luuT ā.ūñgā apne ta.āqub se
tum bhī mujh ko DhūñDh ke thak jaanā ik din
main phir se ho jaunga tanha ek din
bain karega ruh ka sannaTa ek din
jin mein abhi ek wahshi aag ke sae hain
wo aankhen ho jaengi sahra ek din
bit chuka hoga ye KHwabon ka mausam
band milega nind ka darwaza ek din
miT jaega sehr tumhaari aankhon ka
apne pas bula legi duniya ek din
Dub raha hun jhuT aur khoT ke dariya mein
jaane kahan le jae ye dariya ek din
main bhi luT aaunga apne taaqub se
tum bhi mujh ko DhunDh ke thak jaana ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.