main phul phul safar kar rahi thi KHwabon ka
maiñ phuul phuul safar kar rahī thī ḳhvāboñ kā
phuvār laa.ī thī tohfa na.e gulāboñ kā
mile to qurb kā vo e'timād hī na rahā
bhalā thā us se to mausam vahī hijāboñ kā
vo zaḳhm chun ke mire ḳhaar mujh meñ chhoḌ gayā
ki us ko shauq thā be-intihā gulāboñ kā
vo jañgaloñ se nikāle hue ġharīb parind
jahāñ ga.e unheñ maskan milā uqāboñ kā
har ek pūchhtā phirtā hai phir na kuchh ta.abīr
ki jaise shahr meñ melā thā raat ḳhvāboñ kā
maiñ jo bhī kuchh huuñ ye sachchā.ī merī apnī hai
tamām jhuuT thā likkhā huā kitāboñ kā
main phul phul safar kar rahi thi KHwabon ka
phuwar lai thi tohfa nae gulabon ka
mile to qurb ka wo e'timad hi na raha
bhala tha us se to mausam wahi hijabon ka
wo zaKHm chun ke mere KHar mujh mein chhoD gaya
ki us ko shauq tha be-intiha gulabon ka
wo jangalon se nikale hue gharib parind
jahan gae unhen maskan mila uqabon ka
har ek puchhta phirta hai phir na kuchh tabir
ki jaise shahr mein mela tha raat KHwabon ka
main jo bhi kuchh hun ye sachchai meri apni hai
tamam jhuT tha likkha hua kitabon ka
- Book : Kunj Pele Pholon ka (Pg. 100)
- Author : Malik Noorani
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.