main riwayat hun ek bhuli hui
maiñ rivāyat huuñ ek bhūlī huī
aur tū jiddatoñ meñ rahtā hai
merī āñkheñ savāl kartī haiñ
kyā ḳhudā manzaroñ meñ rahtā hai
sā.ateñ raqs kar rahī haiñ magar
merā dil uljhanoñ meñ rahtā hai
parcham-e-jañg jhuk gayā lekin
vasvasa sā diloñ meñ rahtā hai
go charāġhāñ kiye ga.e ḳheme
par añdherā diloñ meñ rahtā hai
aao maujoñ se pūchh kar aa.eñ
chāñd kin sāhiloñ meñ rahtā hai
main riwayat hun ek bhuli hui
aur tu jiddaton mein rahta hai
meri aankhen sawal karti hain
kya KHuda manzaron mein rahta hai
saaten raqs kar rahi hain magar
mera dil uljhanon mein rahta hai
parcham-e-jang jhuk gaya lekin
waswasa sa dilon mein rahta hai
go charaghan kiye gae KHeme
par andhera dilon mein rahta hai
aao maujon se puchh kar aaen
chand kin sahilon mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.