main sab kuchh an-dekha karne lagta hun
maiñ sab kuchh an-dekhā karne lagtā huuñ
jab bhī us kā pīchhā karne lagtā huuñ
ḳhud ke shāne pe hī rakh detā huuñ sar
aise dil ko halkā karne lagtā huuñ
ḳhāmoshī jab zāhir hone lagtī hai
tab maiñ shor-sharāba karne lagtā huuñ
naqsh-e-dast milā hai aur na naqsh-e-pā
kin rāhoñ kā pīchhā karne lagtā huuñ
vaj.h-e-hijr-e-yār ye duniyā ho jaise
jis se dekho jhagḌā karne lagtā huuñ
sochā thā ki ishq nahīñ karnā hai ab
aur pahle se ziyāda karne lagtā huuñ
ammī sūkhī roTī yaad dilātī hai
jab maiñ paisa paisa karne lagtā huuñ
jhagḌā to shiddat se kar letā huuñ phir
pachhtāve meñ girya karne lagtā huuñ
khol hī letā huuñ yādoñ kā album maiñ
aur phir ronā-dhonā karne lagtā huuñ
sar se dast-o-pā kā kaam liyā maiñ ne
maiñ dīvāna kyā kyā karne lagtā huuñ
main sab kuchh an-dekha karne lagta hun
jab bhi us ka pichha karne lagta hun
KHud ke shane pe hi rakh deta hun sar
aise dil ko halka karne lagta hun
KHamoshi jab zahir hone lagti hai
tab main shor-sharaba karne lagta hun
naqsh-e-dast mila hai aur na naqsh-e-pa
kin rahon ka pichha karne lagta hun
wajh-e-hijr-e-yar ye duniya ho jaise
jis se dekho jhagDa karne lagta hun
socha tha ki ishq nahin karna hai ab
aur pahle se ziyaada karne lagta hun
ammi sukhi roTi yaad dilati hai
jab main paisa paisa karne lagta hun
jhagDa to shiddat se kar leta hun phir
pachhtawe mein girya karne lagta hun
khol hi leta hun yaadon ka album main
aur phir rona-dhona karne lagta hun
sar se dast-o-pa ka kaam liya main ne
main diwana kya kya karne lagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.