main sab kuchh chhoD dena chahta hun
maiñ sab kuchh chhoḌ denā chāhtā huuñ
diloñ ko joḌ denā chāhtā huuñ
maiñ apnī chāhateñ tum par luTā kar
ġhamoñ ko moḌ denā chāhtā huuñ
ye kaise aaj tum ne kah diyā hai
ta.alluq toḌ denā chāhtā huuñ
liye phirte haiñ jo hāthoñ meñ bachche
vo kaase phoḌ denā chāhtā huuñ
maiñ 'shākir' be-ridā bahnoñ ke sar pe
ridā.eñ oḌh denā chāhtā huuñ
main sab kuchh chhoD dena chahta hun
dilon ko joD dena chahta hun
main apni chahaten tum par luTa kar
ghamon ko moD dena chahta hun
ye kaise aaj tum ne kah diya hai
talluq toD dena chahta hun
liye phirte hain jo hathon mein bachche
wo kase phoD dena chahta hun
main 'shakir' be-rida bahnon ke sar pe
ridaen oDh dena chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.