main sach to kah dun par usko kahin bura na lage
maiñ sach to kah duuñ par us ko kahīñ burā na lage
mire ḳhayāl kī yārab use havā na lage
ajiib tarz se ab ke nibhāyā ulfat ko
vafā jo kī hai to is tarah ki vafā na lage
darūn-e-zāt basā hai jahān yādoñ kā
vo duur rah ke bhī mujh ko kabhī judā na lage
kabhī to kahtā thā har lamha tere saath huuñ maiñ
ab aise bachhḌā ke us kā kahīñ patā na lage
tabīb tum ko bhulāne kā kar rahā hai ilaaj
maraz huā hai purānā koī davā na lage
tumhāre vāste jab jab baḌhāyā dast-e-talab
ajiib baat hai is dam duā duā na lage
uThe nazar se na us kī fusūn-e-parda-e-husn
ḳhatā bhī tujh se agar ho use ḳhatā na lage
ye terā tarz-e-bayāñ mashriqoñ sā hai 'asrā'
vo din na aa.e ke tujh ko ḳhudā ḳhudā na lage
main sach to kah dun par us ko kahin bura na lage
mere KHayal ki yarab use hawa na lage
ajib tarz se ab ke nibhaya ulfat ko
wafa jo ki hai to is tarah ki wafa na lage
darun-e-zat basa hai jahan yaadon ka
wo dur rah ke bhi mujh ko kabhi juda na lage
kabhi to kahta tha har lamha tere sath hun main
ab aise bachhDa ke us ka kahin pata na lage
tabib tum ko bhulane ka kar raha hai ilaj
maraz hua hai purana koi dawa na lage
tumhaare waste jab jab baDhaya dast-e-talab
ajib baat hai is dam dua dua na lage
uThe nazar se na us ki fusun-e-parda-e-husn
KHata bhi tujh se agar ho use KHata na lage
ye tera tarz-e-bayan mashriqon sa hai 'asra'
wo din na aae ke tujh ko KHuda KHuda na lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.