main sahra mein samundar kyun
maiñ sahrā meñ samundar kyuuñ
bāhar jaisā andar kyuuñ
aise meñ jab koī na thā
qatl huā huuñ aksar kyuuñ
maanā sūraj hai ravāq
nasab badan par phir sar kyuuñ
haif badī ke hañste khet
nekī nekī banjar kyuuñ
shaġhl mirā huā ḳhud īzā.ī
phir ye baraste patthar kyuuñ
ghar ghar mere charche haiñ
ghuum rahā huuñ be-ghar kyuuñ
bāhar se maiñ taptī ret
be-mausam phir andar kyuuñ
merā muqaddar jab parvāz
TuuTe phūTe shahpar kyuuñ
main sahra mein samundar kyun
bahar jaisa andar kyun
aise mein jab koi na tha
qatl hua hun aksar kyun
mana suraj hai rawaq
nasab badan par phir sar kyun
haif badi ke hanste khet
neki neki banjar kyun
shaghl mera hua KHud izai
phir ye baraste patthar kyun
ghar ghar mere charche hain
ghum raha hun be-ghar kyun
bahar se main tapti ret
be-mausam phir andar kyun
mera muqaddar jab parwaz
TuTe phuTe shahpar kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.