main sahra tha jazira ho gaya hun
Interesting Fact
17 February 2005, Bareilly
maiñ sahrā thā jazīra ho gayā huuñ
samundar dekh terā ho gayā huuñ
ba-juz ik naam kahtā huuñ na suntā
maiñ aisā gūñgā bahrā ho gayā huuñ
tirī āñkhoñ ne dhoyā hai mujhe yuuñ
maiñ bilkul sāf-suthrā ho gayā huuñ
tū sūraj hai maiñ ā.īne kā TukḌā
kiran chhū kar sunahrā ho gayā huuñ
mujhe raushan kiye hai aks terā
maiñ terā shoḳh chehra ho gayā huuñ
baḌī lazzat hai terī qurbatoñ meñ
tar-o-tāza saverā ho gayā huuñ
main sahra tha jazira ho gaya hun
samundar dekh tera ho gaya hun
ba-juz ek nam kahta hun na sunta
main aisa gunga bahra ho gaya hun
teri aankhon ne dhoya hai mujhe yun
main bilkul saf-suthra ho gaya hun
tu suraj hai main aaine ka TukDa
kiran chhu kar sunahra ho gaya hun
mujhe raushan kiye hai aks tera
main tera shoKH chehra ho gaya hun
baDi lazzat hai teri qurbaton mein
tar-o-taza sawera ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.