main samjha jab jhalakta samne jam-e-sharab aaya
maiñ samjhā jab jhalaktā sāmne jām-e-sharāb aayā
mirā muñh chūmne shāyad mirā mast-e-shabāb aayā
tire nāzuk se chehre par jahāñ rañg-e-itāb aayā
sabāhat ruḳh kī bol uTThī ki ruḳh zer-e-naqāb aayā
qayāmat uThtī rahtī hai yahāñ ye hai galī us kī
kahāñ pāmāl hone tū dil-e-ḳhāna-ḳharāb aayā
sar-e-turbat bhī ghoḌe par havā ke vo savār aa.e
qayāmat ham-ināñ aa.ī na dushman ham-rikāb aayā
hue hañgāma-hā-e-hashr kitne gosha-e-dil meñ
vo mere sāmne kuchh is adā se be-naqāb aayā
vo aa.e sair-e-dariyā ke liye to bujh ga.iiñ maujeñ
qadam se un ke apnī aañkh malne har habāb aayā
bahut bose liye haiñ maiñ ne un kāfir hasīnoñ ke
mazā aa.egā mujh ko bhī agar roz-e-hisāb aayā
takalluf bartaraf ai shaiḳh sohbat se ye aapas kī
mire aage sharāb aa.ī tire aage kabāb aayā
isī koshish meñ kaTtī hijr kī rāteñ huiiñ āḳhir
na un ke gesuoñ kā mere dil meñ pech-o-tāb aayā
ḳhayāl-e-yār ke sadqe ḳhayāl-e-yār hī hogā
tasallī mujh ko dene koī vaqt-e-iztirāb aayā
tirī nok qalam ne dil meñ gahre zaḳhm Daale haiñ
hazāroñ dashna-o-nashtar liye ḳhat kā javāb aayā
vo tasvīr aaj tak mahfūz hai chashm-e-tasavvur meñ
tire bachpan se jab aTkheliyāñ kartā shabāb aayā
nahīñ maujeñ haiñ ye sail-e-havādis ke tamāñche haiñ
use khānā paḌī muñh kī ubhar kar jab habāb aayā
barābar merī turbat ke kiyā hai dafn dushman ko
ye achchhā mere hisse meñ jahannum kā azaab aayā
kahīñ dāvat meñ kal ham aur vaa.iz paas baiThe the
koī le kar sharāb aayā koī le kar kabāb aayā
lahad par merī bhejā hai adū ko fātiha paḌhne
jo pahuñchāne savāb aayā vahī ban kar azaab aayā
jo aa.e bhī to ghoḌe par havā ke vo savār aa.e
adū bhī saath saa.e kī tarah thāme rikāb aayā
huā bint-e-inab se aqd is pīrāna-sālī meñ
mubārak ho mujhe saaqī buḌhāpe meñ shabāb aayā
nirāle haiñ yahī duniyā meñ tauba toḌne vaale
udhar saaqī 'riyāz' aa.e idhar jām-e-sharāb aayā
main samjha jab jhalakta samne jam-e-sharab aaya
mera munh chumne shayad mera mast-e-shabab aaya
tere nazuk se chehre par jahan rang-e-itab aaya
sabahat ruKH ki bol uTThi ki ruKH zer-e-naqab aaya
qayamat uThti rahti hai yahan ye hai gali us ki
kahan pamal hone tu dil-e-KHana-KHarab aaya
sar-e-turbat bhi ghoDe par hawa ke wo sawar aae
qayamat ham-inan aai na dushman ham-rikab aaya
hue hangama-ha-e-hashr kitne gosha-e-dil mein
wo mere samne kuchh is ada se be-naqab aaya
wo aae sair-e-dariya ke liye to bujh gain maujen
qadam se un ke apni aankh malne har habab aaya
bahut bose liye hain main ne un kafir hasinon ke
maza aaega mujh ko bhi agar roz-e-hisab aaya
takalluf bartaraf ai shaiKH sohbat se ye aapas ki
mere aage sharab aai tere aage kabab aaya
isi koshish mein kaTti hijr ki raaten huin aaKHir
na un ke gesuon ka mere dil mein pech-o-tab aaya
KHayal-e-yar ke sadqe KHayal-e-yar hi hoga
tasalli mujh ko dene koi waqt-e-iztirab aaya
teri nok qalam ne dil mein gahre zaKHm Dale hain
hazaron dashna-o-nashtar liye KHat ka jawab aaya
wo taswir aaj tak mahfuz hai chashm-e-tasawwur mein
tere bachpan se jab aTkheliyan karta shabab aaya
nahin maujen hain ye sail-e-hawadis ke tamanche hain
use khana paDi munh ki ubhar kar jab habab aaya
barabar meri turbat ke kiya hai dafn dushman ko
ye achchha mere hisse mein jahannum ka azab aaya
kahin dawat mein kal hum aur waiz pas baiThe the
koi le kar sharab aaya koi le kar kabab aaya
lahad par meri bheja hai adu ko fatiha paDhne
jo pahunchane sawab aaya wahi ban kar azab aaya
jo aae bhi to ghoDe par hawa ke wo sawar aae
adu bhi sath sae ki tarah thame rikab aaya
hua bint-e-inab se aqd is pirana-sali mein
mubarak ho mujhe saqi buDhape mein shabab aaya
nirale hain yahi duniya mein tauba toDne wale
udhar saqi 'riyaz' aae idhar jam-e-sharab aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.