Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main sapede ka peD hun lekin

Ayaz Rasool Nazki

main sapede ka peD hun lekin

Ayaz Rasool Nazki

MORE BYAyaz Rasool Nazki

    maiñ sapede peḌ huuñ lekin

    barf ne merī Tahniyāñ toḌīñ

    us ke parde havā hilā paatī

    mere kamre khiḌkiyāñ toḌīñ

    mere bachpan meñ ek būḌhā thā

    us ke beToñ ne lakḌiyāñ toḌīñ

    vo utarne se ḳhauf khātā thā

    us ne chaḌhte sīḌhiyāñ toḌīñ

    us havelī ke log so.e the

    ham ne dastak meñ uñgliyāñ toḌīñ

    asp-e-tāzī ne raat phir shāyad

    apnī mazbūt rassiyāñ toḌīñ

    main sapede ka peD hun lekin

    barf ne meri Tahniyan toDin

    us ke parde hawa hila pati

    mere kamre ki khiDkiyan toDin

    mere bachpan mein ek buDha tha

    us ke beTon ne lakDiyan toDin

    wo utarne se KHauf khata tha

    us ne chaDhte hi siDhiyan toDin

    us haweli ke log soe the

    hum ne dastak mein ungliyan toDin

    asp-e-tazi ne raat phir shayad

    apni mazbut rassiyan toDin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now